sugar ka desi ilaj in urdu
Diabetes ka alamat our un ka halZiya baitis kay mani bakasrat say pashab ana hai,is say bohot piyas lagti hai paishab kay sath sugar bhi ati hai is liye yeh marz khatarnak hotihai diabetes do qisam ki hoti hain.
1. Ziyabetes Har
Is main bar bar paishab atra hai aur piyar bohot lagti hai is say mariz kamzor hota jata hai.
2. Ziyabetes Barid
Is condition mein na piyas lagti hai aur na hi paishab ata hai is condition mein mariz kay nak mein synthetic wasoparasin analog dismopreshan DDAVP 10-20 mili gram spray kiya jai din mein aik ya do bar
200 mili gram bazaria dehan teen bar din mein ya 2-4 mili gram bazaria waraid dain.
Is ka mutabadil ilaj bazariye thiazide diurctics carbamazepine 200-400 mili gram rozana ya chlorpropamide 200-350 mili gram rozana dain.
Diabetes Meltitus
Ziabetes shakri aisi condition hai jis mein khoon ma glufox ki ziyadti aur ratubaton ki kami hojari hai is say duniya mein taqreeban 120 lakh afrad mutasir hotay hain go yeh bimari dobarah wapas honewali nahin laikin bad mein is ki mushkilat barh jati hain. Ziyabetes do terha ki hoti hain.
Diabetes Shakri Type Number 1
Diabetes Shakri Type Number Ii
Diabetes Shakri Type Number 1
Is type ki ziabetes mein insuline ki kami hojati hai tamam maghrabi mumalik mein isi terha ki ziabetes ha yeh bachpan ki bimari hai aur jawani tak apni bulandi tak yeh ahista ahista umar kay sath barhti jati hai. yeh 20-10 sal kay darmiyan hoti hai is say diabetes coltate auto amiyun ziabetes of adults yani jawanon mein khud bakhud paida honewali diabetes kahtay hain is ko diabetes number II say alaihda karna mushkil hai yeh khandani hoti hai europi mumalik mein yeh bimari har sal barh rahi hai.
Clinical Feature
Diabetes number 1 mein anty bodies paida hotay hain aur insuline paida karnay waly betailet cells ko tabah kar daitay hain. Is say insuline paida nahin hota aur sugar ki miqdar barhti jati hai mariz ko piyas bohot lagti hai paishab bakasrat ata hai aur bar bar ata hai mariz ka wazan kam hojata hai aur har waqt thakawat mehsoos karta hai isay kamzori mehsoos hoti hai is ka blood pressure level barh jata hai.
Isay chakkar atay hain sar dard bhi hota hai mariz kay khoon mein metabolic acidosis hojata hai sans tezi say ata hai is mein aik chemical acetone ki bu ati hai diabetes number 1 kay marizon ko pait mein sakht dard hota hai har waqt ghunudgi chaee rehti hai aur chalna mushkil hojata hai mariz ka jisam protein aur charbi zaya honey ki wajah say patla hojata hai is condition mein agar mariz ka ilaj na kiya jai to isay komatos ho jata hai jis say is ki mot waqay hojatihai.
Laboratory Test
Paishab ka tajziya kiya jai is mein sugar mojud hogi blood sugar check ki jai test karnay par level 200 mili litre fi di litre say ziyada ho har teen ghantay bad glucose tollarance test kiya jai glucox ki leves mukhtalif hon gi glucose bar bar check karnay par mukhtalif level par hoga yeh bari tashkhis hai.
Treatment Of Diabetes
Diabetes ka ilaj self management par hai woh log mariz ko mashwarah dain jin ko diabetes kay baray mein poori waqfiyat ho yeh mariz ki apni khowahish par hai kay woh kis qadar ilm say faida utha sakta hai is ka inesar diabetes kay nuqsan ko samajhna aur sugar kay control karnay ki salahiyat par hai aur doosray intezamat jaisay wazan ka sahih rakhna cigeratte pina chorna aur chalnay phirnay mein ahtiyat baratna kay faidon say agah hota hai.
Mariz ko samjhanay ka sahih aur munasib waqt mariz ki tashkhis kay bad hai talim kay munazam programme mein sehat kay markaz kay tamam karkun mulazmen,nursain,doctors specialist doctors aur khana waghairah dainay walay sabhi ko shamil hona chahiye takay mariz ko bimari kay baray mein sahih maloomat pohoncha sakain. Diabetes shakri ka behtarin ilaj blood sugar ka control karna hai is kay liye mariz ko a pni khurak mein tabdiliyan lani parti hain.
Blood sugar ki ziyadti jisam kay metabolzam mein kaee terha ki tabdiliyan lati hai jisam ki coronary artries aur gurdon aur jigar kay afal mutasir hotay hain jis say falij kay attack pari frill aur warcular deseased ka hona aur kaee paichidgiyan paida hoti hain sehat mukamal tor par tabah hojati hai is liye in say bachao kay liye blood sugar ka control bohot zaroori hai.
Iss ka control warzish, khanay mein ahtiyat aur insuline kay istemal say mumkin hai mariz ko mithi cheezain maslan mithaiyan, bakery ki mithi cheezain, chiknae wale chizain aur muraghan ghizaon ka istemal nahin karna chahiye khana waghaira colestrol free tail mein pakana chahiye.
Gaihoon ki roti ya double roti khaee jai tazah phal aur sabziyan istemal karain rozana khurak mein 50 say 65 fisad carbohydrates honay chahiyain.fats aur protein 30 fisad say kam hon
Mariz ko insuline ka istemal karna chahiye insuline ki kaee iqsam hain jo jisam mein amal karti hain in mein chand yeh hain.
(A) Regular Insulin (Cryslaline)
Yeh 2say 4 ghanton mein amal karti hai khoon mein 5-6 ghantay kay liye rehti hai.
(B) Semilente Insuline
Yeh bohot jaldi kam karti hai aur jisam mein 2-4 ghanton mein apna amal karti hai yeh khoon mein 12-15 ghantay tak rehti hai.
(C) Lente Insuline
Is ka pack amal 6-12 ghantay bad hota hai aur yeh khoon mein 24 say 28-ghantay tak mojud hoti hai.
(D) Nph Insuline
Yeh dair say kam karti hai aur is ka amal 6-12 ghantay bad hota hai yeh khoon mein 24-28 ghantay kay liye rehti hai.
(E) Ultralente Insuline
Is insuline ka asar dair say hota hai is ka amal 14-24 ghantay bad hota hai khoon mein 26 ghantay say ziyada waqt kay liye rehti hai
Insuline inject karnay kay liye boot umda qisam ki suyan istemal karni chahiyan takay mariz ko kisi qisam ki infection na ho plastic ki srinjain 100 U in IMI istemal ki jain insuline kay injectin pait ki jild mein ran ya bazu kay ooper kay hissay mein laganay chahiyan injection laganay ki jagha tabdeel kartay rehan chahiya.
(575-579)
Tags:
Sugar ka ilaj
Sugar ka alaj, Diabetes Treatment urdu and hindi
By Health Consultant →