Khasra treatment at home in Urdu | ROSEOLA TREATMENT AT HOME

By Health Consultant →
Khasra aik wabai marz hai, jo sari dunya main phelta hai, maghrib main manait bakhsh balems ki waja sey kam ho gaya hai likin phir bhi kaee mumalik main mojod hai, Asia or African mumalik main ziadah hae, ye muhlik bemari hai, yeh waba RNA virus sey phelti hai, iss ka Incubation 8-14 din tak hai, yeh bimari bachoo ko ziadah hoti hai, iss kay 2 stages hain.

Khasra treatment at home in Urdu | ROSEOLA TREATMENT AT HOME
1 –The Pre-eruptive Stage
Yeh stage ibtedai hai, iss marhale main bemari kay jarasim idhar odhar bekhartey hain, shoro main khasi hoti hai, ankhain surkh ho jati hai or halka bukhar hota hai, or moo kay andar neley rang kay halkay halkay Koplikis kay dhabbey nuikaltey hai, iss kay eird gird ki jaga sojh kar surkh ho jati hai, yeh 1-2 din main numayah hotey hain.

2 - The Exanthematous Stage
Chahrey par surkh bada kay nishan zahir hotey hain, or phir jild sey jism ki dosrey hisoon maslan gardan, peshani or peet tak pheil jatey hain, pahley surkh bada (Rash)  saaf hota hai, iss kay bad chilkay numa dhabbey ho jatey hain, yeh nishanat 2-3 din bad khatam ho jatey hain, or jild bhorey rang ki ho jati hai.
Agarchey yeh waba aik tandurust bachey ko kam hoti hai likin yah apney jarasim kamzor bachoon tak ley jati hai,iss bemari main or kaee qisim ki bemariyon ka khadsha hota hai, jesey kay namonia, yarqan or saans ki bemariyan waghera.
Yeh bemari 18 saal tak ki umar waley bachoon ko bhi ho jati hai, hamlah ortoon ko bhi sakht bukahr or kamzori ki waja sey ho jati hai, peet main shadeed kisam ka dard or jild par surkh bada (Rash) bukhar kay sath aalaamat zahir hoti hai.

Diagnonis And Treatment
Iss bemari ki tashkhees asaani say hoti hai, jab yeh choot ki bemari shoro hoti hai to pahley halki khasi shoro hoti hai, peshani main dard hota hai, chahrey par chotey chotey surkh rang kay dane niakltey hain, ankhon main kharish or sozish shoro ho jati hai, bazoqat qay bhi ati hain.

Mareez bachey ki tabiyat main becheni bhi rahati hai, iss kay sath sath bukhar or nazla bhi shoro ho jata hai, in zahri alamat sey pata chalta hai keh bachey ko khasra hai, iss zahri aalaamat kay ilawa agar zarori ho to virus ki culture or tashkheesi muainah (Seralogical Test) bhi karney chaiyeh.

Khasre ka ilaj 

ziadah tar Supportive hai, mareez bachey ko saaf suthrey kaprey or bistar par litana chaiyeh or usay sardi sey bachana chaiyeh, Ghiza halki deni chiyeh. Khasre kay ilaj kay liye Antibiotic adwiayat tajveez ki jati hain. Mareez ko Gamma ka  injection lagain, qabz sey bachao kay liye mareez bachey ke Glycerine spastry dain, Bachpan main bachey ko 0.5cc Moratem Vaccine zerjild injection 1 saal ki umar tak dena chaiyeh. Bukhar utarney kay liaye.

Treatment 

khasra ka koi baqaida ilaaj nahi. sirf mareez ko mukammal araam karaya jae aur achi khoorak di jae. bachchon men khas tor per is baat ka khaya rakha jae ke wo daanon ko na khujaen aur khaarish aur bukhar ko controll kerne ke liye dawaen doctor ke mashware se istamal karae jaen.

Khasre sey kaan ki infection yani Otistis Media namonia or aazay-e-tanafuz Encephalomyelitis ki infection ho sakti hai, malaria shadeed ho to moot waqeh ho sakti hai, nervous system ke infection se dimagh or haram maghaz mutasir ho saktey hain, iss liye khasra sey bacao ki liye hifazati tadabeer ikhtiyar ki jayein or dawaiyon ka istimal kiya jaye.

Hokomat har 6 mah bad chotey bachoon ko khasra sey bacaho kay katre pilaney ka intezam karti hai iss sey mukamal taawun kiya jayey, or bachoon ko khasrey jesi muhlik bemari sey bachana chahiye.
Beauty and Health solutions

i am Mehek and i love to work on blogs. my this blog is about beauty and health tips in urdu | Hindi and in English. i am sharing with you health and beauty tips form different sources (Internet , magazines, tv shows). I am sharing this tips after reading and watching TV shows.

No Comment to " Khasra treatment at home in Urdu | ROSEOLA TREATMENT AT HOME "