Khud Lazzati (Jalaq) Musht Zani In Urdu
26 sala Asif elaj kay liye merey clinic aaya. Masley ki tafseel batatey huey uss ney bataya kay woh bohut kamzor ho chuka hai. Din ba din uski mardana quwwat khatam hoti ja rahi hai aur ab woh biwi kay qabil nahin raha. Usey shadeed ehsaas e gunah bhi tha, ek baar khudkushi ki koshish bhi kar chuka hai. Uss ney bataya kay woh musht zani ka shikar hai aur koshish kay ba wajood isey chor nahin saka.
Mani kay ikhraj ka teesra aur ahem zarya khud lazzati aur musht zani hai isey hathrasi, dastkashi aur handpractice bhi kaha jata hai.
Khud lazzati aur musht zani mein ma'amooli sa farq hai. Khud lazzati sey muraad yeh hai kay fard mubashrat kay elawa kisi bhi aur tariqey sey mani kharij karey. Khud lazzati ka sab sey ahem zarya musht zani hai. Musht zani sey muraad apney hath sey ya kisi doosrey kay hath sey mani ka ikhraj karna. Ba'az mahireen mu'nh sey ko bhi khud lazzati mein shamil kartey hain. Yeh baat yaad rahey kay mani kay ikhraj sey roza toot jata hai aur fard per ghusl wajib ho jata hai. (mishkat)
Khud lazzati kay bohut sey tariqey hain sab sey aam to zakar ko hath sey mushta'el karna hai.
Magar ba'az log maq'ad (anus) aur peeshab ki naali mein koi cheez daakhil kar kay bhi jinsi lutf uthatey hain. Maq'ad aur peeshab ki naali mein koi cheez daakhil karna muhlik ho sakta hai. Iss sey har soorat bachna chahiyie. Mera ek client apni peeshab ki naali mein kabhi pencil, kabhi tinka daakhil kya karta tha.
Humarey haan sab sey zyada ghalat baatein (myths) musht zani kay hawaley sey mashhoor hain. Jinhon ney naujawan nasal ko pareshan kar rakha hai. Musht zani mein fard hath sey apni jinsi khwahish ko poora karta hai.
Hindustan , Pakistan mein naujawanon ka sab sey ahem masla musht zani hai. Yeh masla mardon mein zyada aur aurton mein kam hai. Mukhtalif researchers (muhaqqaqeen) kay mutabiq 95 ta 99% mard iss aadat ka shikar hain. Ma'aroof researchers sherry,hyte kay survey kay mutabiq 99% mardon ney kabhi na kabhi musht zani ki hai. Mashhoor mahir e nafsiyat Fryde ka khayal hai kay saarey mard kabhi na kabhi khud lazzati kartey hain albatta 95% iqraar kartey hain aur baqi 5% jhoot boltey hain. Magar research aur mera clinic ka tajurba fryde kay iss khayal ki tardeed karta hai yani 1% khud lazzati nahin kartey, Mein aisey logon sey waqif hun jinhon ney kabhi khud lazzati nahin ki albatta unko ehtelam khoob hota tha. Bohut sey bachey 10 saal ki umer sey pehley musht zani shuru kar detey hain. Ba'az bachey 6 maah ki umer sey musht zani karney lagety hain, albatta inka andaz baron sey mukhtalif hota hai maslan maan bachey ko nehaltey waqt jab uss kay zakar ko mul kar saaf karti hai to usey shahoot aa jati hai aur uska zakar akarr jata hai yani usey ho jati hai. Isi tarah aap ney dekha hoga kay 6, 7 maah ka bacha bister per leta apney akrey zakar sey khel raha hai (choti umer kay bachey agar apney zakar ko chaerein to unko daantney ki bajaey unki tawajjah kisi aur taraf kar dein) iss umer mein bachon ko jinsi lutf to hasil hota hai magar inzal nahin hota. Mani ka ikhraj ya baloghat kay ba'ad hota hai. Merey paas ek bacha laya gaya bachey ki umer 4 saal thi woh apney zakar ko maan ya baap kay jism sey ragerr kar suroor hasil karta. Yaad rahey kay bachey kop maan kay paet mein tanau ho jata hai. (Hyde)
Agarcha khud lazzati ka zyada ter shikar larkey hotey hain jin ki shadi na hui ho magar ab jadeed research sey ma'aloom hua hai kay shadi shuda mard bhi iss aadat mein mulawwis hain.
Mashhoor American muhaqqiq Kinsey ki research kay mutabiq America 70% shadi shuda graduate saal mein taqreeban 24 baar musht zani karletey hain yani ek maah mein do baar tak musht zani kay zaryey mard amooman 2 ta 5 minute mein inzal hasil karletey hain.
Jab kay aurtein 5 ta 10 minute mein jinsi urooj hasil karti hain.
Khud lazzati/musht zani kay hawaley sey humarey haan bohut sey gumraahkun aur ghalat tasawwuraat (myths) aur kahaniyan phaeli hui hain jin sey naujawan bohut zyada khaufzada hain magar woh shadi tak usey control nahin kar saktey.
Musht zani kay hawaley sey humarey naujawan do qism kay masail ka shikar hain.
No Comment to " Khud Lazzati (Jalaq) Musht Zani In Urdu, "